Search Hindi SMS

Short Holi Nibandh In Hindi | Festival Holi Essay For School Kids

Short Paragraph Holi Nibandh In Hindi | Festival Holi Essay For School Kids, Holi Par Nibandh In Hindi.

Holi Vasant Ritu Mein Manayaa Jaaney Wala 1 Mehatavpuran Tyohaar Hai. Yeh Parv Hindu Panchang Ke Falgun Mas Ki Purnima Ko Manaya Jata Hei, Rango Ka Tyohar Kahey Jaaney Wala Yeh Parv 2 Din Manaya Jataa Hai, Pehley Din Holika Dehan Kiya Jaata Hai Dusrey Din Log Ek Dusrey Ko Rang Lagatey Hain, Dhol Bajakar Holi Ke Geet Gaye Jaatey Hein. Mana Jata Hai Ki Holi Key Din Log Ek Dusrey Ki Dusmani Ko Bhoola Kar Galey Lagate Hain Aur Mithaiyan Baati Jaati Hain.

Holi Ka Tyohaar Basant Panchami Se Hi Suru Ho Jaata Hai, Ush Din Gulal Udayaa Jataa Hai, Sabhi Naach Gaaney Mein Doob Jaaten Hein, Ab Yeh Tyohaar Antarrashtiya Rup Ka Aakar Lene Laga Hai, Rasayanik Rango Ke Kuprabhav Ki Jaankari Ke Baad Ab Log Apney Aap Hi Prakritik Rango Ki Taraf Lot Rhen Hain.